Silsila Movie Dialogues, Shayari | Amitabh Bachchan Dialogues from Silsila

Silsila Movie Dialogues- Get all best romantic dialogues and Shayari from Silsila movie. This is a romantic drama film directed by Yash Chopra which was released in 1981. Amitabh Bachchan, Jaya Bachchan, Rekha and Sanjeev Kumar played the main lead role while Kulbhushan Kharbanda and Shashi Kapoor were in guest appearances. The film is based on the real-life love triangle of its three stars, Amitabh-Jaya-Rekha. The film is full of beautiful songs, lovely scenes and lovely dialogues, Shayaries. The film soundtrack became a super hit. Some dialogues and shayaries are really amazing which are beautifully delivered by Amitabh Bachchan. Here you can easily find the best dialogues, lines and shayaries of Silsila Movie.


Silsila Dialogues, Silsila Movie Shayari, Silsila Movie Dialogues by Amitabh Bachchan


Silsila Movie Best Dialogues 


"Phool khamosh rehkar bhi apne rang..Aur khusboo se bahut kuch keh jaate hai" - Amitabh Bachchan

"Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ...tum hoti toh kaisa hota ...tum yeh kehti, tum woh kehti, tum iss baat pe hairaan hoti, tum uss baat pe kitni hasti ...tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota....main aur meri tanhayi...aksar yeh baatein karte hai" -  Amitabh Bachchan


"Woh baat joh lafzo mein ada ho jaye....woh baat hi kya hui" - Amitabh Bachchan


"Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi....Tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe....Aur sahe hum .....Dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein...deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein....kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ...haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat" - Amitabh Bachchan



Silsila Dialogues, Silsila Amitabh Bachchan Dialogues

"Hum gayab hone waalo mein se nahi hai...jahan jahan se guzharte hai jalwe dikhate hai ... dost toh kya, dushman bhi yaad rakhte hai" - Shashi Kapoor

"Sawaal agar khud jawaab ho....toh sawaal, sawaal nahi rehta" -Amitabh Bachchan

"Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka ...Aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye" -Amitabh Bachchan

Check: Namak Halaal Movie Dialogues

"Do lafz hai ... tanha, akele lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi...ban sakte hai" -Amitabh Bachchan

"Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... Waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ...door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta ... Yeh mohabbat hai dilon ka rishta ... Aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta ... Tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi...Meri duniya ke har rang mein shamil tu hai ... Tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... Main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai" -Amitabh Bachchan


"Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya ...Tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki ...Tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi" -Amitabh Bachchan
"Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ...Ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... Pyar ki shabnam mein unsune geeton ko....Sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko.....Kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare....Khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko...Bheege hua mausam mein sarke hue aanchal ko.....Mundi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ...Adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko ...Kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare" -Amitabh Bachchan

"Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ...Hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai...Yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal...Hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo...Yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai....Yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, Kahin nahi ho....Magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho" -Amitabh Bachchan

"Waqt jin mein tumhare labon ka rang nahi ...woh waqt guzra nahi ...tehar gaya hai kahin" -Amitabh Bachchan

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad