Kabhie Kabhie Movie Dialogues | Amitabh Bachchan, Raakhee, Shashi Kapoor

Kabhi Kabhie Movie Dialogues- Get famous dialogues and lines from Kabhie Kabhie movie. This is a 1976 romantic drama film, produced and directed by Yash Chopra. Amitabh Bachchan, Raakhee, Shashi Kapoor, Waheeda Rehman, Rishi Kapoor, Neetu Singh and Simi Garewal played the main lead role. This was Yash Chopra's second directorial film with Amitabh Bachchan and Shashi Kapoor in the lead roles after Deewaar. Soundtrack and music composed by Khayyam, who won Filmfare Award for best music.  "Kabhi Kabhie Mere Dil Mein Khayal Aata Hai" is the famous song of this film, sung by Mukesh and also won Filmfare Award for the best singer. The film is full of beautiful and romantic dialogues which are delivered by Amitabh Bachchan, Rakhe, Shashi Kapoor and other actors. Here we have collected all famous dialogues of Kabhie Kabhie film.


Kabhie Kabhie Movie Famous Dialogues 


"Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ...Hum mein iss tarah takna jaise pechana nahi tumne ... Hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... Ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne" - Amitabh Bachchan

"Tera haath, haath mein ho agar ... Toh safar hi asle-hayaat hai ...Mere har kadam pe hai manzilein ... tera pyar gar mere saath hai" - Amitabh Bachchan

"Mere dil ka woh hissa ... kambakht mera kab tha" -Amitabh Bachchan

"Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua ... Tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai" -Amitabh Bachchan

Sharaabi Movie Dialogues

Kabhie Kabhi Dialogues, Amitabh Bachchan Dialogues from Kabhie Kabhie

"Tum insaan ke roop mein devta ho ... yah devta ke roop mein insaan" -Raakhee

"Zindagi chand sawaal aur kuch jawaab hi toh bankar reh jaati hai" -Raakhee

"Daag daaman pe nahin ... dil pe liya hai maine" -Amitabh Bachchan

"Iss duniya mein aadmi insaan ban jaye ...Toh bahut badi baat hai" -Shashi Kapoor

Shahenshah Movie Dialogues

"Main zara romantic kisam ka aadmi hoon ... Shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai ... Iss liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon" -Shashi Kapoor

"Aapne kabhi apni aankhen dekhi hai....Jahan dekhti hai ek rishta kayam kar leti hai" Amitabh Bachchan

"Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... Teri ek chup mein joh hai chupi, Woh hazaar baaton ki baat hai -Amitabh Bachchan

"Aap soch kuch aur rahen hain ... Puch kuch aur rahen hain" -Amitabh Bachchan

Kabhie Kabhi Dialogues, Amitabh Bachchan Dialogues from Kabhie Kabhie

"Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati
Toh shadaab ho bhi sakti thi ... Yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka ... Magar yeh ho na saka 
Aur ab yeh aalam hai ... Ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi 
Guzar rahi hai kuch iss tarah zindagi jaise
Isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahi
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri
Inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar 
Main janta hoon meri humnafas 
Magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai" - Amitabh Bachchan

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad