Nasseb Hindi Movie Hits And Famous Dialogues, Shayari Collection - Govinda & Mamta Kulkarni

Naseeb Movie Dialogues Collection, Govinda Best Dialogues Collection, Some Famous And Lovely Shayari Collection From Movie Naseeb Govinda, Best Shayri Colllection From Movie Naseeb




Directed by-Kirti Kumar
Produced by-Vinay Kumar Sinha
Screenplay by- Shaka Sampang
Starring- Govinda, Mamta Kulkarni
Music by -Nadeem-Shravan
Cinematography- S.M. Anwar
Edited by - V.N. Mayekar
Distributed by- 18 December 1998

Naseeb Movie Hits Dialogues And Shayari Colllection


Bhare saawan mein reghistaan lagta hai, Yeh ghar mera khali makaan lagta hai....!


Jab maine apne dil mein rehne waalon ke jaane ka afsoos nahin kiya,Toh ghar se jaane waalon ki parvah kya karoonga....!


Maine kabhi tumhare jism se nahin tumhari aatma se pyar kiya.


Mohabbat ko samajhna hai agar toh dariya mein kuda kar, Kyun ki kinare pe ukhudu bahetne se andaaz-e-toofan nahi hota...!


Mujhko lambi umar ki dua na do jitni ghuzri nagawar ghuzri.


Auron ke liye gunaah sahi, Hum piye toh shabaab banti hai, Arre sau ghamo ko nichodne ke baad ek katra sharaab banti hai..!


Zindagi toh khuda ki rehmat hai joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai.


Gham se khali nahi jism ka kona koi, Hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi...!


Kispe kare yakeen, kisse kare gilla, Mere naseeb ne mera yeh haal kar diya..!


Jitni tumhari saal bhar ki kamai hai
Utne rupaiy ke surf aur sabun se
Meri haveli ke farsh dhoye jaate hai...!


Paal le koi rog nadan zindagi ke vaaste, Sirf sehat ke sahare zindagi katti nahi..!


Zindagi ke faisle naseeb karta hai maa baap nahi.


Kisi shaitan ki di hui saugaat se, Kisi insaan ki di hui khairaat zyada achchi hai..!


Mujh jaise dost baat maar sakte hai magar kabhi laat nahi maar sakte.


Yeh kaide kanoon hum gareebo ko insaaf dilane ke liye nahi, Balki ameero ki sahuliyat ke liye hai...!



Post a Comment

11 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad