Here check the beautiful poem which is delivered by Divya Dutta on The Kapil Sharma Show, This poem is written by his brother Rahul Dutta. In the poem, a wife tells her husband some things that convey the inequality that exists in our homes. It's our request that you must see this beautiful poem with your husband because the husband must be equal to his wife in marriage!
Tumne Kaha Tha, Hum Ek hi hai Poem
"Tumne Kaha Tha, Hum Ek hi hai
Toh apne brabar kar do na
Nappi jab main badlati hoon
Tum Dudh ki bottle bhar do na
Bas yun hi ek hai ek karke
Kahn zindagi chalati hai
Kabhi tum sir daba do mera
Ye bhi kami khalati hai
Jab main bhi office jaati hoon
Tum ghar ko sawar do na
Tumne kaha tha, Hum ek hi hain
Toh apne brabar kar do na
Mat karo vaade janmon ke
Iss pal khushi ki vajah tum ho
Kabhi bazaron se dhyan hate
Toh makan ko ghar kar do na
Aao pas baitho kuch batein karein
Kabhi dil ke zakhm bhar do na
Kyuo kehna padta hai,
Tum Ehsaas ko samjho na
Tumne kaha tha, Hum ek hi hain
Toh apne brabar kar do na
Tum cricket bhi dekho aur main
serial Apana lagaungi
Thoda hath banta dena, main jab kichten jaungi
Sab milkar saath karne ki hum mein ye bhi quality hai
Hum Saath khade hain, ek duje ke hal hi gender equality hai
Tum bhi nay se ho jao, Ab aur nayi si mujhe umar do na
Tumne kaha tha, Hum ek hi hain
Toh apne brabar kar do na