Sab Sambhal Lete Hain Hum Poem Lyrics By Zakir Khan

Sab Sambhal Lete Hain Hum Poem, It is another beautiful poem shared by Zakir Khan. Through this poem, he beautifully explains the pain of a man. Some lines are really very heart-touching of this poem.


Sab Sambhal Lete Hain Hum Poem


Everyone knows, Zakir Khan is an Indian stand-up comedian, writer, and presenter. He has written so many poems and Shayari. Besides stand up comedian, Zakir is also a brilliant shayar and his poem and Shayari are really very heart touching. He is very famous among Indian Youth.  He has gained huge publicity due to his poetry and stands up comedy. Her check his latest poem Sab Sambhal Lete Hain Hum.

Sab Sambhal Lete Hain Hum Lyrics


Sab sambhal leta Hoon
Bhai ki ladai ho, Ya dost ke pachde
Girlfriend ka ex ho
Ya uske ghar ke bahar nukkad par khade fukre
Sab sambhal leta Hain Hum

Hathon ka plaster ho ya, chille hua ghutnein
Gire ho bike se, Ya khade ho teacher se pitne
Ab behan toh vidaai pe ro legi
Par hum nahi royegen....
Chaar din ki road trip hai, Par hum wheel pe nahi soyengen

Ek chota sa kissa bhi ho jaaye toh, Usse badha-chadha ke sunayenge
Par jab dil tootega na, Toh apne doston ko bhi nahi batayenge
Kyunki, Sab sambhal lete hain hum

Kya hai na ki daaru ki capacity se hamari aukaat naapi jaati hai
Par sabko ghar chosdne ki zimmedaari bhi humare hisse hi aati hai

Kisi film ki sad ending ho, Ya best friend ka forign jaane ka farewell
Soft nahi hote, 

Agar gusaa aat toh aaj abhi, Par pyaar jataane wal sab kuch kal
Kya hai na kyunki macho itne hain, Par
Sensitive topic pe thode gadbad ho jaate hain
Yaar apan log toh mummy ko hug karne mein bhi Awkward ho jaate hain

Ghar ki financial problem ho, Ya kisi ki taboyat kharab
Pap ki scocial standing ho, Ya safety security ka sawaal
Sab sambhal lete hain Hum

Hum vo hain jo footpath par bahar ki taraf chaltein hain
Saaya bante hian parivaar ka, Par dhoop mein khud palte hain

Kabhi hamari bhi mardangi ka parda hata kar dekhna
Kabhi thaamna humara bhi haath, Kasie ho tum? Poochna 
Kyuki yaar, Humari bhi sakht shakalon ke peeche ek masoom sa, Bachcha hai ji

Jiske khwaishein ghar, gaadi, Aasman nahi, Apnapan sacha hai ji
Hamein bhi daar lagta hai, Akele andhere kamron mein hum bhi so nahi sakte
Aur sach kahoon toh jhoothe hain woh log, Jo kehate hain ki mard ro nahi sakte

Baki haan iske alawa sab Samhbhal lete hain Hum
Bhai ki ladai ho, Ya dost ke pachde
Girlfriend ka ex ho, 
Ya uske ghar ke bahar nukkad par khade fukre
Sab sambhal leta Hain Hum....Sab sambhal leta Hain Hum


Check also: Mein Shunya Pe Savar Hu

Rahul Deo

I am a Bollywood movie lover. On this blog, I share my thoughts on everything about Bollywood, including celebrity gossip, upcoming Bollywood movies, and trends. Here, you can find more detailed information about your favorite films, directors, and actors. I hope that my blog (Hit Movie Dialogues) will help people discover the magic of films.

Previous Post Next Post

Contact Form