Bollywood Movie Best Shayari And Dialogues In Hindi

Best Shayari In Hindi Film


Hello Guys, Today I am sharing best Hindi Film Romantic Shayaries. All shayaries are collected from different Bollywood movies and delivered by different actor and actress. All are very beautiful and lovely. Many people search on the Internet about Hindi Movie Shayari. So I wrote a post on this topic. You can share this Shayari with your friends by Facebook, WhatsApp, and other social networking sites. I have already written many posts on Bollywood Movie Dialogues. I hope You will like my post. 


Bollywood Hindi Film Best Romantic Love Shayari Collection In Hindi


Har sher mein alfaaz toh hote hai par har alfaaz shayari nahi pyar toh sab karte hai par har pyar junooniyat nahi " - Junooniyat Movie


Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai koi humse bhi mohabbat kare, kambhakt neend bahut aati hai " - Fanaa 


Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte
Jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte
Unko mohabbat hai toh aakar izhaar karein
Peecha hum bhi kisi ka kiya nahi karte -  Fanaa 



Aasmaanon se kaho agar hamari udaan dekhni ho
Toh apna kad aur uncha karle,
Husn waalon se kaho ki agar ishq dekhna ho
Toh humse aake mile -     Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyon



"Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai
Mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai "  - Fanaa


Tere dil mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye - Fanaa



Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham,
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham - Fanaa



Ankhen to pyar me, dil ki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai - Fanaa


Bhool karke agar humse koi bhool hui ho
Toh bhool samajhkar bhula dena
Lekin bhulana sirf bhool ko 
Galati se bhi hum mein na bhula denaa  - Fanaa



Pani se pyaas nah bhujhi toh maikhane ki taraf chal nikla
Soocha shikayat karoon teri khuda se..par khuda bhi tera aashiq niklaa - Fanaa



Hun main parwana magar koi shamma toh ho
Raat toh ho jaan dene ko hoon haazir, koi baat toh ho - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyon





Mohabbat rang lati hai jab dil se dil milte hai
Mushkil toh yeh hai, ki dil badi mushkil se milte hain - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyon


Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko
Kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko


Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke 
Hisse mein yeh mukaam aata hai
Kis kadhar khush naseeb hai woh
Log jinka khon watan ke kaam aata hai  - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyon


E khuda aaj ye faisla karde,
Use mera ya mujhe uska karde.
Bahot dukh sahe hai maine,
Koi khusi ab toh muqadar karde.
Bahot muskil lagta hai usse duur rehna,
Judai ka safar ko kam karde.
Jitna duur chale gaye woh mujhse,
Use utna kareeb karde,
Nahi likhaa agar naseeb me uska naam,
To khatam kar ye zindagi aur mujhe fanaa karde  - Fanna


Aaj itni bhi maisir nahi maikhane mein jitni hum chhod diya karte the paimane mein - Sharabi Movie


Pighle neelam sa behta ye sama,
Neeli neeli si khamoshiyan,
Na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
Sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
Keh raheen hai bas ek tum ho yahan,bas main hoon,
Meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
Aur main...sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gayaa 


Tumsa koi aur is zameen pe hua, toh rab se shikayat hogi
Tumhe chahane waala koi aur hua, toh qayamat se pehle qayamat hogi - Humraaz Movie


Har Baal Ki Khaal Ki yeh Chhaal bhi kha Jaaye
Iske Haat Pad Jaaye Toh Mahine Saal Bhi Kha Jaaye
Kisi Behaal Ka Bacha Haal woh haal Kha Jaaye
Bemaut Marate Mann Ka Yeh Malaal Kha Jaaye
Laalu Ka Laal Kha Jaaye Naksalbaari Ki Naal Kha Jaaye
Bachpan Ka Dhamaal Kha Jaaye, Budhaape Ki Shaal Kha Jaaye
Haya Toh Chhodo Behaya Ki Chaal Bhi Kha Jaaye
Aur Agar Parosha Jaa Sake Toh Khayaal Bhi Kha Jaaye  - Udaan Movie


Ishq di mere mitra pehchaan ki, mit jaave jadon zid apnaan di" - Namste London Movie


Ik Baar to Yun Hoga, Thoda sa Sukoon Hoga, 
Na dil mein Kasak Hogi, Na sar mein Junoon Hoga." - 7 Khoon Maaf Movie


Dil ke Chhaalon Ko Koi Shayari Kahe
Toh Dard Nahi Hota, takleef To Tab Hoti Hai, 
Jab Log Wah Wah Karne lagte Hain" -   Devdas Movie


Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye - Devdas


Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai
Teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai - Sajan


Aap hum mein bhool jao, hum mein koi gham nahi
Jis din humne aapko bhula diya, samajh li jiyega iss duniyaa mein hum nahi  -Teri Meri Kahani 


Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha
Meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha - Dilwale




Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath 
Liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath - Fanaa


Khushiyan kisi ki mohtaj nahin hoti, dosti yunhi ittefaq se nahin hoti
kuch toh maine honge is pal ke, warna yunhi aapse mulaqat nahin hoti - Table No 21


Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai ... 
Dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai
Uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan 
Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai  - Mann


Falak ke teer ka kya dekh nishana tha, 
Udhar thi bijli idhar mera aashiana tha
Pahunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed, 
Us hi waqt is toofan ko bhi aana tha  - Sajaan


Khuda ne jab tujhe banaya hoga, 
Ek suroor uske dil mein aaya hoga 
Socha hoga kya doonga tohfe mein tujhe, 
Tab ja ke usne mujhe banaya hoga - Teri Meri Kahani


Apni Aankhon ke Samundar mein utar jaane de, 
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de, 
Zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko, 
Sochta hoon tujhe keh doon par jaane de - Sarfarosh Movie


Teri aankhon ki namkeen mastiyan
Teri hansi ki be parwaah gustakhiyan
Teri zulfon ki lehrati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan
Tera haath se haath chhodna
Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karoonga mein,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan
Baarishon mein bedhadak tere nachne se
Baat baat pe tere bewajah ruthne se
Choti choti teri bachkaani badmashiyon se
Mohabbath karoonga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan..
Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khaawo se
Teri beraham duaon se
Nafrath karoonga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..  - Jab Tak Hai Jan 


Main Aur Meri Tanhaai, Aksar Ye Baaten Karate Hain
Tum Hoti To Kaisaa Hotaa, Tum Ye Kahati, Tum Vo Kahati
Tum Is Baat Pe Hairaan Hoti, Tum Us Baat Pe Kitani Hansati
Tum Hoti To Aisaa Hotaa, Tum Hoti To Vaisaa Hotaa
Main Aur Meri Tanhaai, Aksar Ye Baaten Karate Hain



Na jaagte hue khwab dekha karo, 
Na chaho usse jise paa na sako 
Pyaar kahan kisi ka poora hota hai, 
Pyaar ka pehla akshar adhoora hota hai - Teri Meri Kahani


Unhe humse shikayat hai ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hai
Nasamajh hai woh na samajhe ke hum mein toh 
Har chehre mein woh hi nazar aate hai - Teri Meri Kahani Movie



Pehle toh apni dil ki raza jaan jaiye 
Phir joh nigah-e-yaar kahe maan jaiye
Kuch keh rahi hai aapke seene ki dhadkane 
Meri suniye toh dil ka kaha maan jaiye
Ek dhoop si jammi hai nigahon ke aas paas
Ki aap hai toh aap pe kurbaan jaiye -   Ranjhnaa Movie


Deewane hai aapke is baat se inkaar nahi, 
Kaise kahen ki hum mein aapse pyar nahi
Kuch toh kasoor hai aapki adaon ka, 
Akele hum hi gunehgaar nahi - Teri Meri Kahani



Mohabbat ka matlab ikraar nahi hota, 
Sirf kisi ko dekhna pyar nahi hota
Yun toh milte hai roz mohabbat-e-pehgham,
Mohabbat hai zindagi baar baar nahi hota - Teri Meri Kahani


Woh aag hi kya joh lag ke badhe nahi
Woh nasha hi kya joh sarr pe chadhe nahi
Nahi banta tab tak koi sachcha aashiq,
Jab tak ishq mein usko do chaar padhe nahi - Teri Meri Kahani




Dil mila hai ishq karne ke liye, bas itna samajh li jiye
Ek se karna hai yah igyarah se, woh khud hi tai kar lijiye - Teri Meri Kahani



Uske banaye har haseen chehre se ishq karna hai 
Aakhir marne ke baad kal usko mooh bhi toh dikhana hai - Teri Meri Kahani



Joh hashr hua hai lakhon ka, apna bhi woh anjaam sahi
Hum pe toh kahi ilzaam lage, tujhpar bhi koi ilzaam sahi - Teri Meri Kahani



Aaj kal ke daur me hassi ki fasal ugati kahan hai
Hassta woh hai jo deewana hota hai,
Ya tu jisse taufiq de, warna iss duniysa mein aa kar muskurata kaun hai - Sharaabi


Mere Dil, jigar, liver mein ho tum
Waqt bewaqt aaye woh fever ho tum
Ab toh meri life mein forever ho tum - Mujhse Friendship Karoge


Aaj aaj ek hasi aur baant lo aaj ek dua aur maang lo
Aaj ek ansoon aur pee lo aaj ek zindagi aur jee lo
Aaj ek sapna aur dekh lo aaj kya pata, kal ho naa ho - Kal Ho Na Ho


Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai
Ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai,
Kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai
Takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai - Ishq Movie



Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi  - Diljale


Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana    - Diljale


Kyon banaati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum.
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhool jayogi tum - Diljale


Isne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake,
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake,
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake - Dil Ka Khel Movie


Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke,
Nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke,
Laya hai unhe kaun falak se utaar ke - Hum Apke Hain Kaun



Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
Hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai.
Jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
Naa jano kyon log hamare naam se jalte hai - Raaz




Pehle to apne Dil ki raza jaan jaiye,
Fir jo nigahe yaar kahe maan jaiye,
Kuch keh rahi hai apki seene ki dhadkane,
Meri suniye to dil ka kaha maan jaiye,
Ek dhoop si jami hai nigaho ke aas pas,
Ki aap hain to aap pe Qurban jaiye --Raanjhnaa Movie


Bas Yahi Thi Meri Kahani
Ek Ladki Thi Jo Bagal Mein
Bhaithi Thi..
Ek Kuch Doctor
Jo Abhi Bhi Is Umeed Me The
Ki Shayad Yeh Murda Phir Jaag Pade..
Ek Dost Tha Jo, Pagal Tha..
Ek Aur Ladki Thi, Jisne Apna Sab Kuch Haar
Diya Tha Mujhpe.....!

Meri Maa Jisne Apna Sab Kuch Haar
Galiyaan Thi Aur Yeh Ek
Hamaara Shareer Tha Jo
Hume Chord Chuka Tha.. 
Aur Yeh Mera Seena Jisme Ab Bhi
Aag Baaki Thi.. Hum Uth
Sakte The Par Kiske Liye..
Hum Cheekh Sakte The Par
Kiske Liye..
Mera Pyaar Zoya,
Banaras Ki Galiyaan, Bindiya,
Muraari Sab Mujhse Chooth
Raha Tha...
Mere Seene Ki
Aag Yaa Toh Mujhe Zinda Kar
Sakti Thi Ya Fir Mujhe Mar
Sakti Thi, Par Saala Ab Uthe
Kaun, Kaun Phir Se Mehnat
Kare Dil Lagane Ko, Dil
Tudwane Ko, Abe Koi Toh
Aawaj De Ke Rok Lo, Ye Jo-
Ladki Murda SiAankhe Liye
Baithi Hai Bagal Me,

Aaj Bhi Haan Bol De Toh Mahadev Ki
Kasam Waapas Aa Jayen 
Par Nahi, Ab Saala Mood Nahi.
Aankhe Mund Lene Me Hi
Sukh Hai,So Jaane Me Hi
Bhalayi Hai. 
ParUthenge Kisi Din Ussi Ganga Kinare Damru
Bajane Ko, Unhi Banaras Ke
GaliyoMe Daud Jaane Ko, Kisi
Zoya Ke Ishq Me Phir Se Pad
Jaane Ko  - Raanjhanaa Movie

Rahul Deo

I am a Bollywood movie lover. On this blog, I share my thoughts on everything about Bollywood, including celebrity gossip, upcoming Bollywood movies, and trends. Here, you can find more detailed information about your favorite films, directors, and actors. I hope that my blog (Hit Movie Dialogues) will help people discover the magic of films.

Previous Post Next Post

Contact Form