Major Saab Movie Dialogues - Amitabh Bachchan & Ajay Devgn

Major Saab (1998) - Amitabh Bachchan & Ajay Devgn

Hello Friends, We sharing some beautiful and patriotic (Desh Dhakti) dialogues of Major Saab movie. This is a patriotic romantic action  movie which was released in 26 June 1998. Amitabh Bachchan, Ajay Devgn & Sonali Bendre had played main lead role. The music is composed by Anand Raj Anand and Aadesh Shrivastav and Lyrics are penned by Anand Raj Anand and Dev Kohli. This was a average movie on Box office. But the movie dialogues are very famous. All dialogues are awesome. Some best dialogues are delivered by Amitabh Bachchan & Ajay Devgn. Here I have collected some best lines and punches of this movie Major Saab. I have already written many post on film dialogues. You can visit on those post by Home page of this website. I hope, You will like my post. 

Major Saab Movie Best Patriotic Dialogues 


"Aapke chabuk ne mujhe mujhe itne zakhm nahi diye ... Jitna ki badnaami ke uss daag ne" - Ajay Devgn


"Woh burbak galti kiya, trailer dikha diya usko ... lekin nau se barah ka show abhi baki hai"


"Hindustani fauz ka jawaan zameen par rengta nahi...Uski gardan bhi kat jaye toh bhi vo aage badta jata hai" - Amitabh Bachchan


"Tumhari territory sirf char foot ki hai, joh iss shehar se shuru ho karke issi shehar mein dum todh deti hai ... Lekin hum army waalon ki territory Himalaya ki bulandi se shuru hokar Ganga sagar ki kok tak jati hai" - Amitabh Bachchan


"Kutta chahe desi ho ya videsi..darwaja ke samne hoke khub bhaunkta hai"


"Main chahta hoon Hindustan ka har aadmi jiye toh sher ki tarah jiye ... varna paida hote hi marr jaye" - Amitabh


"Woh aaye hamare ghar mein, khuda ki kudrat hai ... kabhi hum unko, kabhi apne ghar ko dekhte hai" - Ajay Devgn


"Jab koi mujhe challenge karta hai ... toh meri ragon ka khoon double raftar se daudne lagta hai ... aur main woh kar jata hoon joh upar waala bhi karne se darta hai" - Ajay devgn



"Apna haath jeb mein rakh lo ... kahin aisa na ho ki meri nazar lag jaye ... aur tumhara haath dhad se alag ho jaye" - Ashish Vidyarthi


"Apne aadmiyon se kaho bandookein phek de ... varna tumhari arthi par rone ke liye koi bachega nahi" -Amitabh


"Tum is desh ke un naujawan mein se ho ... joh uthe toh aasman ko muthi mein lele" - Amitabh


"Is daari ki safedi pe mat jao janam ... tel toh abhi itna baki hai is dil ke andhar ... ki Bambai ka samundar sharma jaye" - Amitabh Bachchan


"Bambai se zindagi wapas nahi jati ... sirf maut jati hai" -  Ashish Vidyarthi


"Main ek zeharelay saanp par bharosa kar sakta hoon ... tum par nahi" - Ashish Vidyarthi


"Surya purab ke bajaye paschim se nikal sakta hai ... reghistaan mein phool khil sakte hai lekin woh ... kabhi nahi hoga joh tum chahte ho, understand" - Amitabh


"Kisi bhi desh ki suraksha bandookon aur topon se nahi ki jati ... aur nahi atom bomb aur machine guno se jung jeeti jati hai ... Jung jeeti hai insaan mazbood iraadon se" - Amitabh


"Koi bhi apni jagah se ek kadam bhi nahi hilega ... Vo kadam baad mein rakhoge jaan pehle jayegi" - Amitabh


"Joh jung aadmi teer aur talwar se nahi jeet pata ...Aurat us jung ko apne aasoonyon se jeet leti hai" - Ashish


"Yeh ghulami ka patta gale se nikaal kar phek do ... aur Hindustan ke badshahat ka taj peheno" - Mohan Joshi


"Hum aaye bhi hain apne paron par chalakr aur jayegne bhi apne paron par chalakar..chhod jayegen toh sirf ye papa ki lanka..jiski har dewwar par tumhari khoon se likha hoga..Mohabbat ke dushmano ka yahi anjaam hota hai" - Ajay Devgn


"Aagaz hua nahi..tum anjaam tak pahunch gya"



Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad