Garv Movie Salman Khan Hard Hitting Dialogues

Garv Movie Salman Khan


Garv - Pride and Honour was released in 9 July 2004. It was the biggest hit of the year. The movie is directed by Puneet Issar and produced by Sunil Mehta. Salman Khan, Shilpa Shetty, Arbaaz Khan and Amrish Puri are in main lead role. Salman Khan played a honest cop he fight for justice. This is a action movie. The movie is very popular. The movie has so many popular dialogues and hard hitting punches. Some very good dialogues are delivered by Salman Khan. I have collected some best dialogues of this movie Garv.


Directed : Puneet Issar
Produced : Sunil Mehta
Story : Puneet Issar
Starring : Salman Khan, Shilpa Shetty, Arbaaz Khan, Amrish Puri, Amitabh Bachhan
Music : Anu Malik, Sajid-Wajid
Cinematography : Kishore Kapadia
Distributed : Cinevistaas
Release dates : 9 July 2004

Garv Hindi Movie Hard Hitting Dialogues By Salman Khan 


Salman Khan Dialogues


"Main maut ko takiya, aur kafan ko chaadar banakar audhta hoon"

"Aiyanda mardon ki baraat lootne ... hijadon ki toli kabhi mat bhejna"

"Izzat se baat, izzatdar logon se ki jaati hai ... bhadwon se nahin"

"Teri liye no chargesheet sirf D-final ... yani death final"

"Tujhe kaandha dene ke liye ek aadmi bhi naseeb nahin hoga"

"Humne uski jamaad aur uska naam ration card se kaatna shuru kar diya hai"

"Main apna antim sanskar kar chuka hoon"


"Tum jaise gundo ke liye ... police se bada gunda is duniya mein doosra koi nahi"

"Is umar mein jab haddiyan tootti hai ... toh badi mushkil se judti hai"

"Is napunsak samaaj mein antim vijay ... sada asatya, adharm aur anyaay ki hi hoti hai"

"Hamara Constitution karam pradhaan hai ... dharam pradhaan nahi"

"Kyun ki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na ... is liye unhone maa ko banaya hai"



Arbaaz Khan Dialogues


"Tu goli lena kaise pasand karega ... pani ke saath, sode ke saath, whiskey ke saath ... yah phir direct"


"Paiso ke liye aatankwadi ladte hai, sipahi nahi ... sipahi sirf apne vatan ki izzat aur mulk ki hifazat ke liye ladte hain"



"Mere revolver se nikalne waali goli ... mujrim se uski jaat, ya uska mazhab nahin puchti ... ki woh Hindu hai yah Musalman"


"Apni atmaraksha mein goli chalana ... hamara manav adhikaar hai, hamara loktantrik adhikaar hai"



Other Dialogues By Amrish Puri, Anupam Kher & Others


"Arjun kabhi marte nahin ... Arjun ladte hain"

"Khoon ki holi aap jaise politicians khelte hain ... police nahin"


"Mujhe toh yahan har mard ki nazar mein sirf bhuk aur havas nazar aati hai ... lekin Arjun ki nazar mein mujhe imaan aur izzat nazar aati hai" - Shilpa


"Hum joh kahengen woh aadesh hoga ... hum joh banayengen woh kanoon hoga"


"Agar tune un policewaalon ka koi game nahi kiya ... Toh main teri puri nasal ka game kar dalunga"

"Sarkar badalte hi netaon ko afsaron ka tabaadla karne ki purani bimari hai"

"Jab beti badhi ho jaati hai ... toh maa ke seene ka bhoj badh jaata hai"

"Woh meri jagah doosre vyakti badal sakte hai ... hamare sankalp aur vichaar nahi"

"Tabaadlo se ilaake badalte hain ... iraade nahi"

"Jodhengen todhengen, ladenge ladwaenge, dal banayenge bhigadengen ... par ek roz hi kursi par bahetke dikhayengen"

"Mukadmaa sabuton aur gawahon se lada jaata hai ... bhashan-baazio, nautanki aur tamasho se nahi"

"Main tujhe is qaid mein ...Har roz ek nayi maut marunga"


Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad