Get the beautiful lyrics of Bahut Khoobsurat ho tum which is written and delivered by Tahir Faraz. Every word of this Ghazal of Tahir Faraz is full of love and simplicity. If you are in love, then you will feel your love after listening to beautiful Ghazal.
Tahir Faraz Ghazal - Bahut Khoobsurat Ho Tum
Bahut khoobsurat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Kabhi mai jo keh du mohabbat hai tumse-2
To mujko khudara galat mat samajna
Ki meri jarurat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Hai pholon ki dali ye baahe tumhari
Hai khamosh jaadu nigaahe tumahri
Jo kaate ho sab apne daman me rakh lun
Sajau mai kaliyo se rahein tumhari
Nazar se zamane ki khud ko bachana
Kisi or se dekho dil na lagana
Ke meri amanat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Jo banke kali muskurati hai aksar
Shab-e-hijar me jo rulati hai aksar
Jo lamho-lamho me duniya badal de
Jo shayar ko de jaye pehlu gazal ke
Chupana bhi chahe to chupayi na Jaye
Bhulana Bhi jo chahe to bhulayi na Jaye
Wo pehli Mohabbat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Hai chehra tumhara ke din hai suhnehra
Aur uspe ye kali ghatao ka pehra
Gulabo sa najuk mehkta badan hai
Ye lab hai tumhare ki khilta chaman hai
Bikhero jo zulfein to sharmaye badal
Ye zaahid bhi dekhe to ho jaye pagal
Wo pakeezah moorat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum