Mere Dushman Mere Bhai Lyrics - Hariharan | Border

Mere Dushman Mere Bhai Mere Humsaaye lyrics from Border. This is a very emotional song, which is sung by Hariharan, composed by Anu Malik while lyrics are penned by Javed Akhtar. Border is a war film based on the Battle of Longewala during the Indo-Pakistani War of 1971, produced and directed by J. P. Dutta.
Border Movie Song Lyrics

Song: Mere Dushman Mere Bhai
Album: Border (1997) 
Singer: Hariharan 
Musician: Anu Malik 
Lyricist: Javed Akhtar


Get All Patriotic Song Lyrics of India

Mere Dushman Mere Bhai Song Lyrics


Jang to chand roz hoti hai-(x2)
Zindagi varson talak roti hai

Sannate ki gehri chhanv
Khamoshi se jalte gaanv
Yeh nadiyon par toote hua pul
Dharti ghayal aur vyaakul
Yeh kheit bamon se jhulse hua
Yeh khaali raste sehame hua
Yeh maatam karta sara samaa
Yeh jalte ghar yeh kala dhuan
Yeh jalte ghar yeh....kala dhuan
O.oh...ho..ho

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum dono se
Yeh jalte ghar kuchh kehte hain
Barbadi ke saare manzar kuchh kehte hain haaye..
Mere Dushman mere bhai mere humsaaye
O ho ho.. O ho ho..

Baarood se bojhal saari fiza
Hai maut ki boo failaati hava
Zakhmon pe hai chhaai lachaari
Galiyon mein hai phirti beemari
Yeh marte bachche haathon mein
Yeh Maaon ka rona raaton mein
Murda basti, murda hai nagar
Chehare patthar hain, dil patthar
Chehare patthar hain.....dil patthar
O..oho.. o ho ho..

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Mujhse tujhse hum dono se
Sun yeh patthar kuchh kehte hain
Barbadi ke saare manzar kuchh kehte hain
Haaye..
Mere dushman mere bhai mere humsaaye
O..ho ho.. o ho ho..

Mere dushman mere bhai mere humsaaye
Chehron ke dilon ke yeh patthar, yeh jalte ghar
Barbadi ke saare manzar
Sab mere nagar, sab tere nagar yeh kehte hain
Iss sarhad par phunphakaregaa kab tak nafrat ka yeh ajagar
Kab tak nafrat ka yeh ajgar
Iss sarhad par phunphakaregaa kab tak nafrat ka yeh ajagar
Hum apne-apne kheton mein
Gehun ki jagah, chaawal ki jagah
Yeh bandookein kyon bote hain
Jab dono hi ki galiyon mein
Kuchh bhookhe bachche rote hain
Kuchh bhookhe bachche rote hain
Aa khaayein kasam
Ab jang nahi hone paaye
Aa khaayein kasam
Ab jang nahi hone paaye
Aur uss din ka rasta dekhein
Jab khil uthe tera bhi chaman
Jab khil uthe mera bhi chaman
Tera bhi watan, mera bhi watan
Mera bhi watan, tera bhi watan
Tera bhi watan, mera bhi watan
O..ho ho.. o ho ho..

Mere dost mere bhai mere humsaaye
Mere dost mere bhai mere humsaaye
O..ho ho.. o ho ho..
Aa.. aa..

Rahul Deo

I am a Bollywood movie lover. On this blog, I share my thoughts on everything about Bollywood, including celebrity gossip, upcoming Bollywood movies, and trends. Here, you can find more detailed information about your favorite films, directors, and actors. I hope that my blog (Hit Movie Dialogues) will help people discover the magic of films.

Previous Post Next Post

Contact Form