Hindustan Hindustan Song Lyrics | Border

Hindustan Hindustan...Meree Aan, Meree Shaan, Meree Jaan, Hindustan Lyrics from Border movie. This song is very patriotic, full of Desh Bhakti, sung by Sunali Rathod, Shankar Mahadevan, Kulbhushan Kharbanda. Border is a war film, based on the Battle of Longewala during the Indo-Pakistani War of 1971, The film is produced and directed by J. P. Dutta.

You can also find all Patriotic Desh Bhakti Song Lyrics

Hindustan Hindustan Song Lyrics | Border

Song: Hindustan Hindustan
Movie: Border
Singer: Sunali Rathod, Shankar Mahadevan, Kulbhushan Kharbanda


Hindustan Hindustan....Hindustan Hindustan Lyrics


Sarve bhavantu sukhina, sarve santu niramaya
Sarve bhadrani pashhantu, makaschit dukh bha bhavet

Hindustan, hindustan, hindustan, Hindustan.......
Meree aan, meree shan, meree jan, Hindustan
Hindustan, hindustan, hindustan, Hindustan.......
Meree aan, meree shan, meree jan, Hindustan

Panch hajar warsha pehle isi ved mantra kaa uchhar karke
Param pita parmatma kee yachana karte
Sabka bhala karo bhagvan, Sabko sukh aur shanti do aur panchso warsha pehle
Isi path ko saral bhasha me dohraya
Nanak nam jalti kala, Tere pani sarvata bhala

Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Meree aan, meree shan, meree jan, Hindustan

Parantu sabke liye sukh aur shanti mananewale Hindustani
Kya khud shanti se sakte, rehte bhee toh kaise rehte
Unaki dharti kaa dusraa nam sone kee chidiyaa hai
Jiski mittee me sona aur jungalo me chandan hai
Shayad isi liye prakriti ne isaki suraksha ke liye
Uttar me Himalaya, dakshin me Hind mahasagar
Purab me Bangal kee khadi, aur paschim me Thar kaa registan bana diya tha

Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

Phir bhi sone kee chamak aur chandan kee khushbu
Bahar ke hamlawaro ko lubhati rahi
Sikandar ke ghodo kee tapo ne
Hamare dharti ke sine kee dhadkan tej kar dee
Toh un mangol Arab Purtagali Francisi 
Aur angrej koi pichhe nahi raha
Sab aaye aur aate hee rahe
Shayad nahee jante the ke jahan sab duniyawale
Apnee apnee matrubhumi se pyar karte hain
Waha Hindustani apnee matrubhumi kee puja karte hain, jee ha puja

Hindustan, Hindustan, Hindustan, Hindustan
Meree aan, meree shan, meree jan, Hindustan

Karono hindustaniyo kee bhavna ko
Shabdo me dhalte huye hee toh bankim babu ne kaha tha
Sujalam Sufalam Malayaj Shitalam Shashya Shamlam 
Mataram Vande Vande Mataram
Hamlawaro ko har mankar wapas jana pada
Par kutch log yahi reh gaye
Unhe hamari dhartimaa ne god le liye
Aur itihas sakhsi hai ma ne apnee god se janme
Aur god liye bachho me kabhee antar nahee kiya
Shayad isiliye jab jab kisi hamlawar ne
Hamari dharti ke sine par panv rakhna chaha
Sab bachche sina tankar samne khade ho gaye
Aur sima suraksha kee diwaar khadi ho gayi

Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
Meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

Hamlwar iss divar se takrakar wapas jate rahe
Jo unniso basat me huwa wahi san 65 mein aur wahi 71 mein
Har bar hindustaniyo ne wapas jate dushman kee or dosti kaa hath badhaya
Kyunki hamari mittee ne hame sikhaya hain
Yadi nafrat karnewale nafrat kaa daman nahee chhodte
Toh mohabbat karnewale mohabbat kaa daman kyun chhode

 Hindustan Hindustan Hindustan Hindustan
 Meree aan, meree shan, meree jan, hindustan

Rahul Deo

I am a Bollywood movie lover. On this blog, I share my thoughts on everything about Bollywood, including celebrity gossip, upcoming Bollywood movies, and trends. Here, you can find more detailed information about your favorite films, directors, and actors. I hope that my blog (Hit Movie Dialogues) will help people discover the magic of films.

Previous Post Next Post

Contact Form