Hello, This is the very special post for everyone, this time we sharing best patriotic Bollywood movie dialogues and quotes. I have collected those dialogues from best Bollywood patriotic movie. All dialogues are full of patriotism, motivation, and encouragement. I am feeling very proud of writing this post. Let's celebrate This Republic Day by sharing these dialogues and feel patriotic.
Patriotic, Desh Bhakti Bollywood Dialogues #HappyRepublicDay
"Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke hisse mein yeh mukaam aata hai ... kis kadhar khush naseeb hai woh log ... khoon jinka watan ke kaam aata hai" - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo
"Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai ... desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai" - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo By Akshay Kumar
Pic credit by - www.santabanta.com
"Jis desh mein pehda hue ho tum, us desh ke agar tum bakht nahi ... nahi piya doodh maa ka tumne, aur baap ka tum mein rakht nahi" - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo
"Aap logon ko bas peeth par vaar karna aata hai ... Par hum Hindustaniyon ne kabhi peeth dikhana seekha hi nahi hai" - Sarbajeet
"Hamara Hindustan zindabad tha, zindabad hai, aur zindabad rahega" - Gadar
"Yeh Musalman ka khoon yeh Hindu ka khoon ... bata iss mein Musalman ka kaunsa Hindu ka kaunsa, bata" - Krantiveer
"Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai ... sirf ek mulk ka naam sunai deta hai 'INDIA' "
"Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai ... joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai" - Rang De Basanti
"Door se commentary dena bahut aasaan hota hai. Doosron ko gaali dena aur bhi aasaan. Agar tumhein itni problem hai to tum badlo na Desh… lekin tum nahin karoge..Main bataun kyun ? Kyunki ghar ki safaai mein haath gande kyun karein ? -Rang De Basanti
"Door se commentary dena bahut aasaan hota hai. Doosron ko gaali dena aur bhi aasaan. Agar tumhein itni problem hai to tum badlo na Desh… lekin tum nahin karoge..Main bataun kyun ? Kyunki ghar ki safaai mein haath gande kyun karein ? -Rang De Basanti
"Khoon bahana koi badi baat nahi hai ... chahe woh apna ho yah samne waale ka ... badi baat toh yeh hai ki jism se tapka hua ek boond khoon, aane waali nasal ke saare ke saare khoon mein ubaala la sakta hai yah nahi" - The Legend Of Bhagat Singh
"Tumhare seene mein joh dil hai woh Hindustani hai ... Aur Hindustani dil awaaraa nahi hota ... yeh chahta toh sari duniya ko hai, lekin mitta kisi Hindustani par hai" - Soldier
"Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai ... Woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh jaisa woh lagta hai" - Veer Zaara
"Tum log parivaar ke saath yahan chain se jeeo ... iss liye hum log roz border par marte hai" - Holiday
"Chahe hum mein ek waqt ki roti na mile, badan pe kapde na ho, sarr pe chatt na ho ... lekin jab desh ki aan ki baat aati hai ... tab hum jaan ki baazi laga dete hai" - Indian
"Jiski nasson mein imaandari ka khoon daud raha ho ... jiska dil desh ke liye dhadakta ho ... uska josh kabhi thanda nahi padh sakta" - Indian
"Hum haath milana bhi jaante hai, haath ukhaadna bhi ... hum Gandhiji ko bhi poojte hai, Chandra Shekar Azad ko bhi ... main bhi pehle pyar se samjhata hoon, phir hathyar se" - Indian
"Hum haath milana bhi jaante hai, haath ukhaadna bhi ... hum Gandhiji ko bhi poojte hai, Chandra Shekar Azad ko bhi ... main bhi pehle pyar se samjhata hoon, phir hathyar se" - Indian
"Mard marta hai toh apni aankhen tirange ki taraf karke marta hai ... Aur yeh sochta hai ki phir se iss desh ke liye kab pehda hoon" - Jo Bole So Nihaal
"Boder pe marne se zyada bada nasha koi nahin hai"- Shaurya
"Tum doodh mangoge hum kheer denge … tum Kashmir mangoge hum cheer denge" - Maa Tujhe Salaam
"Yeh Veer Shivaji, Rana Pratap jaise bahaduron ki sarzameen hai. Jise Bhagat Singh, Azad, Ashfaqullah Khan ne apne khoon se seencha hai..hamein koi tod nahin sakta… hum Hindustani ek hain or ek hi rahenge...Aur desh ke har ek dushman ko milkar marengen." -Pukar
"Agar hamari pehchaan hai toh sirf ek, ki hum Kuwaiti nahi, Hindustani hai saath hain toh kuch nahi, Warna nothing" -Airlift
"Agar hamari pehchaan hai toh sirf ek, ki hum Kuwaiti nahi, Hindustani hai saath hain toh kuch nahi, Warna nothing" -Airlift
"Meri uniform meri aadat hai ... jaise ki saans lena, apne desh ki raksha karna" - Rustom Akshay Kumar
"Zindagi mein sabse badi khushi tab milti hai ... Jab aapki country ka flag shaan se lehra raha hota hai" - Yaariyan
"Iss dharti se gaddari mat kar ... varna yeh dharti phategi, sholay ughlegi ... Aur tujhe raakh kar degi" - Diljale
"Hindustan se gaddari karne waalon ka raasta ... seedhe kabristan jaata hai" - Maa Tujhe Salaam
"Shayad tum nahi jaante ... yeh dharti sher bhi pehda karti hai" - Border
"Hindustani jaisa bhi ho, usse do cheezein bilkul pasand nahin ... ek hai cricket mein haar ... doosra apne desh pe vaar" - Kaante
"Tere vaaste ek lakh jawaniyan ... par yeh jawani desh ke" - Heroes
"A soldier lives by chance, loves by choice and kills by profession" - LOC Kargil
"Mera majhab hai Islam..lekin meraa mulk hai Hindustan..Isliy main karta hun main...Bharat Maa ko salam...Jise tumlog karte ho lahuluhan" - Qayamat
"Hum jab Jai Jai Hind karke niklte hain..Tab Hind ki Jai karke hi vapas laute hain" - Qayamat
"Jab baat Hindustan Pakistan ki ho rahi ho ... toh har Hindustani ek hi taraf hota hai" - Qayamat
Jai Hind
ReplyDelete