Zindagi Na Milegi Dobara Poem Lyrics Delivery By Farhan

Tags- A Very Motivational Poem Of Zindagi Na Milegi Dobara Movie , All Poem Collection Of Zindagi Na Milegi Dobara Movie , Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Poem Lyrics 





Writer : Javed Akhtar
Movie Album: Zindagi Na Milegi Dobara 
Music Label: T-Series
Star Cast: Hrithik Roshan, Abhay Deol, Katrina Kaif, Farhan Akhtar and Kalki Koechlin 
Production: Excel Entertainment, Eros Entertainment
Movie Released on: 15th July 2011




Popular Poem Lyrics Of Zindagi Na Milegi Dobara  Movie


1 Poem- Toh Zinda Ho Tum

Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye
Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum


Poem-2 -Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya

Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya....!



Poem-3 -Yeh Jaane Kaisa Raaz Hai



Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa Raaz hai...!!


Poem-4- Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai


Jab jab dard ka baadal chhaya
Jab gham ka saya lehraaya
Jab aansoo palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraaya
Hum ne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai?
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad