Veer zaara Shayari And Poem , A Poem Said By Sahrukh Khan , Veer Zaara Poem Lyrics ,A Lovely Poem "Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon " Lyrics From Movie Veer Zaara
Veer Zaara Poem Lyrics ( Wo Kehta Hai Main Us Jaisa Nahi)
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon
Se Baahir Dekhta Hoon,
Din, Mahiney, Saalon Ko Zaat Mai
Badalte Dekhta Hoon
Is Mitti Se Mere Baoji Ke Khaithon
Ki Khusbu Ati Hai
Yeh Dhup Mere Mathay Ki Thandi Chaa Yaad Dila Ti Hai
Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jooloon Ke Sang Laati Hai
Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Suljati Jaati Hai
Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi
Phir Kiun Mere Des Jaisa Lagta Hai
Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi
Phir Kiun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Sapno Ke Gaoon Se Utri Ek Nanhi Pari Ko Dekhta Hoon
Kehti Hai Khud Ko Saamnay Aa Aur Mujhko Veer Bulaati Hai
Hai Bilkul Begani Par Apno See Woh Lagti Hai
Uski Sachi Baton Se Phir Jeenay Ko Man Karta Hai
Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Man Karta Hai
Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Thi
Phir Kiun Woh Mere Liye Dunya Se Larti Hai
Woh Kehtey Hain Mai Us Jaisa Nahi
Par Kiun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Apne Gaoon Ke Rangon Mai Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon
Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud Ke Khwaab Bhool Chuki Hai Woh
Mere Logon Ki Saiwa Karke Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Woh
Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai
Uske Liye Ek Aur Zindagi Phir Jeenay Ko Jee Karta Hai
Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi Phir Kiun Mere Ghar Woh Rehti Hai
Woh Kehtay Hain Mai Us Jaisa Nahi Phir Kiun Mujh Jaise Woh Lagti Hai
Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
"yeh soch kar teri mehfil main chala aya hon"...teri sohabat main rahon ga tu sanwar jaon ga